hot post

IMPORTANT AHADIS ABOUT FAMILY

IMPORTANT AHADIS ABOUT FAMILY


1. Rasule Khuda (saww):
Mal'oon hai, mal'oon hai wo shakhs jo apna aur apne Aehl o Ayaal (biwi bachcho'n) ka bojh doosro'n par daale aur mal'oon hai, mal'oon hai jo apne bachcho'n ko nazar-andaaz (ignore) kare.
(Furoo e Kafi, v3, p137)

2. Imam Kazim (as):
Ghar ke sarbaraah mard (head of family) ko chahiye ke wo apne ahl o ayaal (family) ka hamesha khayaal jjrakkhe. Kahi'n aisa na ho ke wo uski maut ki tamanna karein.
(Tafseer Noor us Saqlain, v9, p138)



https://youtu.be/s65joZkNFek

IMPORTANT AHADIS Rasule Khuda (saww)


3. Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs apne ghar pahu'nche aur apne Ahl o Ayaal (family members) ko Salaam kare to uske ghar mein Barkat hogi aur Farishto'n ko oos ghar se oons (attachment) ho jaayegi.


(Tehzeeb ul Islam, p431)
4. Rasule Khuda (saww):
Jo shakhs apne Ahl o Ayaal (family) ko (khaane ke dastarkhwan par) ikattha kare aur khaane ki ibteda mein 'Bismillah' padhein aur ikhtetaam par Allah ki Hamd o Sanaa karein to dastarkhwan uthhaae se pehle unke gunah maaf ho jaate hain.
(Wasaail ush Shia, v16, p322)


5. Rasule Khuda (saww):
Insaan apne haatho'n se apni Family ke istemaal ki cheezo'n ko uthaaye, is tarah wo Takabbur (Pride) se bacha rehta hai.
(Meezan ul Hikmah, v8)



IMPORTANT AHADIS Rasule Khuda (saww) TOIMAM BAQIR (AS)


6. Imam Baqir (as)
Jab koi shakhs Safar se waapas aaye to munasib hai ke apne ghar-waalo'n ke liye kuchh Tohfe laaye chahe wo ek patthar hi ho.
(Tehzibul Islam)

7. Rasule Khuda (saww):
Jo koi bazaar se apne Ahl o Ayaal (family) ke liye tohfa laaye to ye Sadqa dene ke sawaab ke barabar fazilat rakhta hai. Usay chahiye ke ye tohfa wo sabse pehle apni BETI ko de kyun ki jo apni beti ko khush karega to goya usne farzandaan e Ismail (as) mein se kisi Momin ko Raah e Khuda mein azaad karvaya aur jo koi apne Bete ki aa'nkhein raushan karega to ye aisa hai ke jaise Khauf e Khuda mein rone ke barabar sawaab le aur jo koi Khauf e Khuda mein girya kare Behisht mein pur-ne'mat hoga.
(Amaali - Shaikh Sadooq, p542)


8. Imam Sadiq (as):
Wo jo buzurgo'n ki izzat nahi karta aur bachcho'n par rahem nahi karta, wo hum mein se nahi hai.
(150 Dars)

9. Rasule Khuda (saww):
Apne Ahl o Ayaal (family) ke liye Juma ke din kuchh phal (fruit) aur gosht pesh karo taaki wo Juma ka din aane se khush ho.
(Wasaail ush Shia, v5, p76)









HADIS Rasule Khuda (saww) TOIMAM SADIQ (AS)


10. Imam Baqir (as):
Jo shakhs logo'n ke saamne apni zaruriyaat pesh karne se bachne ke liye apne ahl o ayaal (family) ke liye mehnat ki garaz se aur padosi par meherbaani karne ke liye duniya ko talab karta hai wo ba-roz e Qayamat Allah Ta'ala se is haalat mein mulaqat karega ke uska chehra chaudhvi'n raat ke chaand ki tarah raushan hoga.
(Meezan ul Hikmah, v4, p235)

11. Rasule Khuda (saww):
Apne ahl o ayaal (family) ki khidmat ya to Siddiq karta hai ya Shahid, ya phir wo shakhs Allah Tabaarak o Ta'ala jiski duniya aur Akherat ki bhalaai chahta hai.
(Meezan ul Hikmah, v4, p508) 


12. Imam Sadiq (as)
H. Ali (as) lakdiyaa'n ikatthi karte, paani khai'nch kar laate aur ghar mein jhaadu dete the. Jab ke J. Fatima (sa) aata peesti thi aur Roti pakaati thi.
(Wasaail ush Shia, v12, p66)

Post a Comment

0 Comments