hot post

Ghareeb zehra ki gurbat suno aye ahl e aza nohay

Ghareeb zehra ki gurbat suno aye ahl e aza nohay


ghareeb zehra ki gurbat suno aey ahle aza ghareeb zehra ki gurbat suno aey ahle aza 

●Akaila Reh Gaya Maqtal Main Jab Maira Mola Sipah e Sham Nay Charo Taraf Say Ghair Liya Lab e Furat Har Ek Taraf Khoon Ka Piyasa Tha Gul Charag e Imamat Abhi Bhujana Hai Arey Zameen Pay Zeen Say Shabbir Ko Girana Hai 

●Yeh Sun Kay Sang Kisi Nay Jabeen Par Mara Kisi Nay Pehlu Main Barchi Ka Phal Utar Diya Arey Kisi Nay Samnay Akar Chalai Taig e Jafa Ghareeb e Zehra Ka Zeen Par Sambhalna Mushkil Tha Ali o Zehra Ko Ran Main Rulaya Jata Tha Arey Hussain Girtay Nahi Thay Giraya Jata Tha

 ●laga Jo Teer To Asghar Ko Sheh Nay Yad Kiya Pukara Ghazi Ko Jis Waqt Sar Pay Gurz Laga Lagi Jo Barchi to Akbar Ko Di Tarap Kay Sada Tamacha Kholi Nay Mara To Bolay Ya Zahra Ali Ko Yad Kiya Sar Pay Zarb Chaltay Huwai Hasan Ko Yad Kiya Mun Ny Khoon Ughaltay Huwai 

●Zameen Say Zeen Pay Hazrat Jo Mun Kay Bal Aye Jo Teer Seenay Main Thay Woh Pust Say Nikal Aye Nikal Say Pehlu Say Sab Barchion Kay Phal Aye Karar Kis Tarah Ab Sheh Ko Ek Pal Aye Raqab Pairon Say Ibn Ali Ki Chut Gayi Tamam Pasliyan Sibt e Nabi Ki Toot Gayi 

●Raqam Kiya Hai Yeh Ravi Nay Dard Ka Manzar Kay Chalnay Wala Tha Jis Dum Hussain Pay Khanjer Arey Bhan Say Agai Khari Thi Hussain Ki Dukhtar Kaha Yeh Shimr Say Us Dam Gahreeb Say Rokar Meri Sakina Kahi Dum Na Tor Dai Zalim Raham Kar Mairay Baalo Ko Chor Dai Zalim 

●Para Tha Bai Jan Dasht Main Batool Ka Beta Hussain Zinda Hai Kiya Shimr Say Kisi Nay Kaha Qareeb Ja Kay Yeh Shimr Nay Di Has Kay Sada Arey Woh Daikho Agayi Maqtal Main Sani e Zehra Yeh Suntay hi Shah e Dilgheer Uth Kay Bhaith Gaye Bahan Kay Naam Pay Shabbir Uth Kay Bhaith Gaye 

●Yeh Keh Kay Agai Barha Hath Main Liye Khanjer Udhar Tarapnay Lagi Ek Lash Darya Par Idhar Khayam Say Nikli Batool Ki Dukhter Ajeeb Bai Adabi Yeh Shimr Nay Ki Akar Arey Zara Si Bhi Na Murawat Dhikhai Zalim Nay Kalam e Pak Ko Thokar Lagayi Zalim Nay


Post a Comment

0 Comments